KHana-e-dil mein KHuda tha mujhe malum na tha
ḳhāna-e-dil meñ ḳhudā thā mujhe mā'lūm na thā
yaar pahlū meñ chhipā thā mujhe ma.alūm na thā
musta’id yaar khaḌā thā mujhe mā'lūm na thā
kun kā kul 'uqda khulā thā mujhe mā'lūm na thā
yaar ko 'ishq huā thā mujhe mā'lūm na thā
apnā yuuñ nashv-o-numā thā mujhe mā'lūm na thā
zaat meñ rabb-e-ahad kī jo thā ahmad kā vajūd
nukta vahdat kā baḌā thā mujhe mā'lūm na thā
ho ke insān kī hastī meñ fanā dekh liyā
yā ḳhud jalva-numā thā mujhe mā'lūm na thā
ḳhat-e-taqdīr meñ mā'dūm hai apnī hastī
yaar ne yuuñ hī likhā thā mujhe mā'lūm na thā
daam meñ 'ishq ke phañs-phañs ke mirā tā.ir-e-jān
qafas tan meñ rahā thā mujhe mā'lūm na thā
sūrat-e-yār kā jo nuur nazar aatā hai
ā.īna ḳhud vo banā thā mujhe mā'lūm na thā
maiñ tamāshe ko jahāñ ke jo 'adam se pahuñchā
peshvā paik-e-qazā thā mujhe mā'lūm na thā
dast-bosī ke 'evaz thā mere ḳhuun kā sāmān
haath par rañg-e-hinā thā mujhe mā'lūm na thā
hazrat-e-ḳhvāja-e-chishtī-e-mu’īnuddīn ḳhud
dil meñ 'āshiq' ke basā thā mujhe mā'lūm na thā
KHana-e-dil mein KHuda tha mujhe ma'lum na tha
yar pahlu mein chhipa tha mujhe malum na tha
musta’id yar khaDa tha mujhe ma'lum na tha
kun ka kul 'uqda khula tha mujhe ma'lum na tha
yar ko 'ishq hua tha mujhe ma'lum na tha
apna yun nashw-o-numa tha mujhe ma'lum na tha
zat mein rabb-e-ahad ki jo tha ahmad ka wajud
nukta wahdat ka baDa tha mujhe ma'lum na tha
ho ke insan ki hasti mein fana dekh liya
ya KHud jalwa-numa tha mujhe ma'lum na tha
KHat-e-taqdir mein ma'dum hai apni hasti
yar ne yun hi likha tha mujhe ma'lum na tha
dam mein 'ishq ke phans-phans ke mera tair-e-jaan
qafas tan mein raha tha mujhe ma'lum na tha
surat-e-yar ka jo nur nazar aata hai
aaina KHud wo bana tha mujhe ma'lum na tha
main tamashe ko jahan ke jo 'adam se pahuncha
peshwa paik-e-qaza tha mujhe ma'lum na tha
dast-bosi ke 'ewaz tha mere KHun ka saman
hath par rang-e-hina tha mujhe ma'lum na tha
hazrat-e-KHwaja-e-chishti-e-mu’inuddin KHud
dil mein 'ashiq' ke basa tha mujhe ma'lum na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.