main sun kar mast hun naghma kisi ka
maiñ sun kar mast huuñ naġhma kisī kā
suhānā dil ko hai gaanā kisī kā
mere is tār-e-dam ko chheḌ mutrib
hai us meñ naġhma-e-hū hā kisī kā
tilism-e-ġhaib hai sar meñ hamāre
sadā bajtā hai tambūra kisī kā
sadā be-saut hai jo apne dil kī
hai us meñ shor aur ġhauġhā kisī kā
muhīt ik saut hai jo do-jahāñ par
ye hai asrār-e-dar-parda kisī kā
sitāra us jism kā hai tiin khoTī
hai us meñ tār-e-sarbasta kisī kā
jo hai mizrāb dil se chheḌ jaañ meñ
basā hai aa ke sāzinda kisī kā
hameñ bhātā hai ye gaanā bajānā
dil-e-shaidā hai āshufta kisī kā
ġhazal us ramz kī maiñ ne jo likkhī
suḳhan thā dil meñ rindāna kisī kā
dogānā chhoḌ kar gaanā suno tum
zarā to maan lo kahnā kisī kā
'ibādat hai yahī sab chishtiyoñ kī
ye haq hai shaikH-e-farmūda kisī kā
namāz-e-rūh meñ hai jam.a-e-ḳhātir
nahīñ aatā hai andesha kisī kā
sadā kan kī mazāmīroñ meñ suniye
nahīñ āvāz-e-be-hūda kisī kā
zarā tum pīr-e-kāmil se samajh lo
hai maḳhfī raag meñ nukta kisī kā
sunā hai chishtiyoñ kī bazm kā raag
huā be-hosh-e-mastāna kisī kā
jo ro-ro kar hue 'ushshāq-e-sarmast
hai us naġhma meñ afsāna kisī kā
mu'īnuddīn chishtī ke sivā ab
nahīñ 'āshiq' hai dīvāna kisī kā
main sun kar mast hun naghma kisi ka
suhana dil ko hai gana kisi ka
mere is tar-e-dam ko chheD mutrib
hai us mein naghma-e-hu ha kisi ka
tilism-e-ghaib hai sar mein hamare
sada bajta hai tambura kisi ka
sada be-saut hai jo apne dil ki
hai us mein shor aur ghaugha kisi ka
muhit ek saut hai jo do-jahan par
ye hai asrar-e-dar-parda kisi ka
sitara us jism ka hai tin khoTi
hai us mein tar-e-sarbasta kisi ka
jo hai mizrab dil se chheD jaan mein
basa hai aa ke sazinda kisi ka
hamein bhata hai ye gana bajaana
dil-e-shaida hai aashufta kisi ka
ghazal us ramz ki main ne jo likkhi
suKHan tha dil mein rindana kisi ka
dogana chhoD kar gana suno tum
zara to man lo kahna kisi ka
'ibaadat hai yahi sab chishtiyon ki
ye haq hai shaikH-e-farmuda kisi ka
namaz-e-ruh mein hai jama-e-KHatir
nahin aata hai andesha kisi ka
sada kan ki mazamiron mein suniye
nahin aawaz-e-be-huda kisi ka
zara tum pir-e-kaamil se samajh lo
hai maKHfi rag mein nukta kisi ka
suna hai chishtiyon ki bazm ka rag
hua be-hosh-e-mastana kisi ka
jo ro-ro kar hue 'ushshaq-e-sarmast
hai us naghma mein afsana kisi ka
mu'inuddin chishti ke siwa ab
nahin 'ashiq' hai diwana kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.