surat-o-sada-e-ghaib suni jae jis taraf
sūrat-o-sadā-e-ġhaib sunī jaa.e jis taraf
dilbar kā apne vahāñ hai Thikāna nazar karo
hāthoñ ko apne siina pe rakh rakh ke 'āshiqo
kyā iztirāb dil kā hai manshā nazar karo
bā’d-e-fanā samajh meñ kab aa.egī ramz-e-maut
haañ ziist meñ 'adam kā tamāshā nazar karo
kab mā'rifat ho zaat kī kahne se ism ke
muñh band kar ke sū-e-musammā nazar karo
kyuuñ DhūñDte ho misl-e-sikandar idhar-udhar
aap hī meñ hai hayāt kā chashma nazar karo
ḳhvāja mu'īnuddīn ke jo banda bane ho tum
'āshiq' tumhārā hai vahī aaqā nazar karo
surat-o-sada-e-ghaib suni jae jis taraf
dilbar ka apne wahan hai Thikana nazar karo
hathon ko apne sina pe rakh rakh ke 'ashiqo
kya iztirab dil ka hai mansha nazar karo
ba’d-e-fana samajh mein kab aaegi ramz-e-maut
han zist mein 'adam ka tamasha nazar karo
kab ma'rifat ho zat ki kahne se ism ke
munh band kar ke su-e-musamma nazar karo
kyun DhunDte ho misl-e-sikandar idhar-udhar
aap hi mein hai hayat ka chashma nazar karo
KHwaja mu'inuddin ke jo banda bane ho tum
'ashiq' tumhaara hai wahi aaqa nazar karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.