aata hai dil mein but ki parastish kiya karun
aatā hai dil meñ but kī parastish kiyā karūñ
rakh kar sanam ko sāmne sajda adā karūñ
lachhman hoñ raam hoñ ki kishan jo hoñ ḳhud huuñ maiñ
zunnār Daale apne gale meñ phirā karūñ
paḌh kar fa-ainamā jo nasārā kare kalām
kyā taab hai ki is se maiñ chūñ-o-charā karūñ
mehrāb-e-kāba meñ mujhe jaane de shaiḳh agar
mimbar pe chaḌh ke ḳhutba sanam kā paḌhā karūñ
pahuñchī hai jaan laboñ pe merā naak meñ hai dam
ai 'ishq kab talak tire sadme sahā karūñ
be-nām-o-be-nishāñ ke tasavvur meñ rakh mujhe
ai dil tirī qasam ki na yād-e-ḳhudā karūñ
chhup kar dahan meñ miim ke goyā hai be-zabāñ
yaar apnā us kī kaun se muñh se sanā karūñ
lāhūt ke maqām meñ aa jaa.e gar nafas
ik dam meñ laakh baar maiñ sair-e-baqā karūñ
saut-o-sadā ke baaġh kā ḳhud huuñ maiñ 'andalīb
kab tak qafas meñ tan ke muqayyad rahā karūñ
hāsil huī haiñ sab sifateñ banda kī mujhe
phir kyuuñ na ghar meñ rab ko bulā kar milā karūñ
mansūr sā mujhe bhī abhī diije daar par
kah kar anal-haq apnī ḳhudī ko fanā karūñ
murshid hai mai-farosh to kyā Dar hai phir mujhe
lekar sharāb-e-shauq ko har dam piyā karūñ
begāne jo bane haiñ vo ham-sāya-dār haiñ
ġhībat karūñ meñ un kī na hargiz gilā karūñ
hablul-varīd kā na ho 'uqda jo tujh se hal
uljhī girah ko taar nafas kī maiñ vā karūñ
badlā hai ruuh ne jo maqām ai tabīb-e-'ishq
taskīn hogī dil ko ḳhud ab kyā davā karūñ
hai zāt-e-lā-yamūt kī ye sab ulaT-palaT
kuchh ḳhauf kar na yaar agar maiñ qazā karūñ
ḳhvāja mu'īn-e-dīn kī jo 'āshiq' ko hai madad
har ik ko kyuuñ na aap kā phir mubtalā karūñ
aata hai dil mein but ki parastish kiya karun
rakh kar sanam ko samne sajda ada karun
lachhman hon ram hon ki kishan jo hon KHud hun main
zunnar Dale apne gale mein phira karun
paDh kar fa-ainama jo nasara kare kalam
kya tab hai ki is se main chun-o-chara karun
mehrab-e-kaba mein mujhe jaane de shaiKH agar
mimbar pe chaDh ke KHutba sanam ka paDha karun
pahunchi hai jaan labon pe mera nak mein hai dam
ai 'ishq kab talak tere sadme saha karun
be-nam-o-be-nishan ke tasawwur mein rakh mujhe
ai dil teri qasam ki na yaad-e-KHuda karun
chhup kar dahan mein mim ke goya hai be-zaban
yar apna us ki kaun se munh se sana karun
lahut ke maqam mein aa jae gar nafas
ek dam mein lakh bar main sair-e-baqa karun
saut-o-sada ke bagh ka KHud hun main 'andalib
kab tak qafas mein tan ke muqayyad raha karun
hasil hui hain sab sifaten banda ki mujhe
phir kyun na ghar mein rab ko bula kar mila karun
mansur sa mujhe bhi abhi dije dar par
kah kar anal-haq apni KHudi ko fana karun
murshid hai mai-farosh to kya Dar hai phir mujhe
lekar sharab-e-shauq ko har dam piya karun
begane jo bane hain wo ham-saya-dar hain
ghibat karun mein un ki na hargiz gila karun
hablul-warid ka na ho 'uqda jo tujh se hal
uljhi girah ko tar nafas ki main wa karun
badla hai ruh ne jo maqam ai tabib-e-'ishq
taskin hogi dil ko KHud ab kya dawa karun
hai zat-e-la-yamut ki ye sab ulaT-palaT
kuchh KHauf kar na yar agar main qaza karun
KHwaja mu'in-e-din ki jo 'ashiq' ko hai madad
har ek ko kyun na aap ka phir mubtala karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.