Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

yar mera juda nahin mujhse

Aashiq Hyderabadi

yar mera juda nahin mujhse

Aashiq Hyderabadi

MORE BYAashiq Hyderabadi

    yaar merā judā nahīñ mujh se

    duur merā ḳhudā nahīñ mujh se

    dil pe mere likhā hai il-lallāh

    rāz-e-maulā chhupā nahīñ mujh se

    be-ḳhudī se huā huuñ dīvāna

    dosto kuchh gilā nahīñ mujh se

    to ne kuchh chāra dard ulfat

    ai masīhā kahāñ nahīñ mujh se

    yaar se ho ga.ī jo shab-e-ḳhalvat

    sirr-e-maḳhfī chhupā nahīñ mujh se

    roz-e-mīsāq terā hamdam thā

    be-vafā kyuuñ milā nahīñ mujh se

    'umr-bhar royā jis ke 'ishq meñ meñ

    yaar dam-bhar hañsā nahīñ mujh se

    zulf ke pech meñ phañsā aisā

    duur hotī balā nahīñ mujh se

    silsile meñ abbū turāb ke huuñ

    duur kuchh mustafā nahīñ mujh se

    hai chhupā kaun shakl-e-insāñ meñ

    yaar giroh milā nahīñ mujh se

    kHvāja-e-chisht 'āshiq' apne hai saath

    vo judā kuchh huā nahīñ mujh se

    yar mera juda nahin mujh se

    dur mera KHuda nahin mujh se

    dil pe mere likha hai il-lallah

    raaz-e-maula chhupa nahin mujh se

    be-KHudi se hua hun diwana

    dosto kuchh gila nahin mujh se

    to ne kuchh chaara dard ulfat ka

    ai masiha kahan nahin mujh se

    yar se ho gai jo shab-e-KHalwat

    sirr-e-maKHfi chhupa nahin mujh se

    roz-e-misaq tera hamdam tha

    be-wafa kyun mila nahin mujh se

    'umr-bhar roya jis ke 'ishq mein mein

    yar dam-bhar hansa nahin mujh se

    zulf ke pech mein phansa aisa

    dur hoti bala nahin mujh se

    silsile mein abbu turab ke hun

    dur kuchh mustafa nahin mujh se

    hai chhupa kaun shakl-e-insan mein

    yar giroh mila nahin mujh se

    kHwaja-e-chisht 'ashiq' apne hai sath

    wo juda kuchh hua nahin mujh se

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now