kunto kanzan makHfiyan se ye bayan paida hua
kunto kanzan makHfiyan se ye bayāñ paidā huā
jism meñ mahmūd ke ḳhud jān-e-jāñ paidā huā
shaan meñ aayā hai jis ke saaf lau-lāk lamā
vo shahanshāh-e-zamīn-o-āsmāñ paidā huā
nuqta-e-sirr-e-vujūd-o-'ilm aur nūr-o-shuhūd
'ishq ban kar dā.ira ke darmiyāñ paidā huā
khul ga.ī mujh par haqīqat se mohammad kī ye ramz
zaat se mahmūd kī saarā jahāñ paidā huā
shash jihat ke ā.īnoñ meñ 'aks hai jis shaḳhs kā
ḳhud makīñ kī shakl meñ vo lā-makāñ paidā huā
tuḳhm-e-hastī se jo nikle ban ke ham ulTe shajar
gulshan a'ayāñ kā apne bāġhbāñ paidā huā
dekh lo mahmūd kī hai ḳhud mohammad kā shabīh
aaj phir ahmad sū-e-hindostāñ paidā huā
ban gayā vājib se mumkin 'ishq meñ jis kā vujūd
vo vujūd be-nishān ḳhud bā-nishāñ paidā huā
sūrat ijmāl vahāñ kī ban ke tafsīl aa ga.ī
thā jo bātin meñ vahī zāhir meñ yahāñ paidā huā
ganj-e-maḳhfī meñ sadā be-saut jis kī sunte the
ḳhud zabāñ ban ke vo yār-e-be-zabāñ paidā huā
apnī ulTī putliyoñ se dekh lo us kā maqām
ab tasavvur kā hamāre dīdbāñ paidā huā
har nafas aatī hai kānoñ meñ jo āvāz-e-jaras
aaj gujrātī amīr-e-kārvāñ paidā huā
aa gayā chūñ-o-charā meñ ganj-e-maḳhfī se jo yahāñ
sirr-e-zāt-e-be-chagoñ kā ramz-dāñ paidā huā
sirr-e-bātin kī haqīqat pūchhiye us piir se
ye miyāñ mahmūd achchhā ġhaib-dāñ paidā huā
shah nasīruddīñ charāġh-e-dehlavī ke nuur se
chishtiyoñ apnā charāġh-e-dūdmāñ paidā huā
kyuuñ na raushan ho shabistāñ kamāluddīñ ki aaj
un ke ghar meñ āftāb-e-ḳhāndāñ paidā huā
'āshiq-e-ḳhvāja mu’īnuddīñ mubārak ho tujhe
piir terā nūr-e-chashm-e-kHvājgāñ paidā huā
kunto kanzan makHfiyan se ye bayan paida hua
jism mein mahmud ke KHud jaan-e-jaan paida hua
shan mein aaya hai jis ke saf lau-lak lama
wo shahanshah-e-zamin-o-asman paida hua
nuqta-e-sirr-e-wujud-o-'ilm aur nur-o-shuhud
'ishq ban kar daira ke darmiyan paida hua
khul gai mujh par haqiqat se mohammad ki ye ramz
zat se mahmud ki sara jahan paida hua
shash jihat ke aainon mein 'aks hai jis shaKHs ka
KHud makin ki shakl mein wo la-makan paida hua
tuKHm-e-hasti se jo nikle ban ke hum ulTe shajar
gulshan a'ayan ka apne baghban paida hua
dekh lo mahmud ki hai KHud mohammad ka shabih
aaj phir ahmad su-e-hindostan paida hua
ban gaya wajib se mumkin 'ishq mein jis ka wujud
wo wujud be-nishan KHud ba-nishan paida hua
surat ijmal wahan ki ban ke tafsil aa gai
tha jo baatin mein wahi zahir mein yahan paida hua
ganj-e-maKHfi mein sada be-saut jis ki sunte the
KHud zaban ban ke wo yar-e-be-zaban paida hua
apni ulTi putliyon se dekh lo us ka maqam
ab tasawwur ka hamare didban paida hua
har nafas aati hai kanon mein jo aawaz-e-jaras
aaj gujraati amir-e-karwan paida hua
aa gaya chun-o-chara mein ganj-e-maKHfi se jo yahan
sirr-e-zat-e-be-chagon ka ramz-dan paida hua
sirr-e-baatin ki haqiqat puchhiye us pir se
ye miyan mahmud achchha ghaib-dan paida hua
shah nasiruddin charagh-e-dehlawi ke nur se
chishtiyon apna charagh-e-dudman paida hua
kyun na raushan ho shabistan kamaluddin ki aaj
un ke ghar mein aaftab-e-KHandan paida hua
'ashiq-e-KHwaja mu’inuddin mubarak ho tujhe
pir tera nur-e-chashm-e-kHwajgan paida hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.