aashiqo panw na ukhDe wahin Thahre rahna
āshiqo paañv na ukhḌe vahīñ Thahre rahnā
parda uThtā hai ruḳh-e-yār se sambhle rahnā
arsh par se bhī tumheñ khīñch ke le aa.egī
kashish-e-āshiq-e-be-tāb se bachte rahnā
taḌap uTThā dil-e-betāb kisī āshiq kā
ye mirā farz hai kah detā huuñ bachte rahnā
Duub kar bahr-e-mohabbat meñ nikalnā kaisā
paar hone kī tamannā hai to Duube rahnā
ma.arke se nahīñ haTtā koī āshiq pīchhe
sar hathelī pe dhare aage hī baḌhte rahnā
nazar ā-jā.e jo vo tauba-shikan ai 'akbar'
dil ko hāthoñ se dabā.e hue baiThe rahnā
aashiqo panw na ukhDe wahin Thahre rahna
parda uThta hai ruKH-e-yar se sambhle rahna
arsh par se bhi tumhein khinch ke le aaegi
kashish-e-ashiq-e-be-tab se bachte rahna
taDap uTTha dil-e-betab kisi aashiq ka
ye mera farz hai kah deta hun bachte rahna
Dub kar bahr-e-mohabbat mein nikalna kaisa
par hone ki tamanna hai to Dube rahna
marke se nahin haTta koi aashiq pichhe
sar hatheli pe dhare aage hi baDhte rahna
nazar aa-jae jo wo tauba-shikan ai 'akbar'
dil ko hathon se dabae hue baiThe rahna
- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 38)
- Author : Sha Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.