Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

wasl hai par dil mein ab tak zauq-e-gham pechida hai

Aasi Ghazipuri

wasl hai par dil mein ab tak zauq-e-gham pechida hai

Aasi Ghazipuri

MORE BYAasi Ghazipuri

    vasl hai par dil meñ ab tak zauq-e-ġham pechīda hai

    bulbula hai ain dariyā meñ magar nam-dīda hai

    dil vo vus'at ki nuqte se bhī kam saat āsmāñ

    jism ye lāġhar ḳhatt-e-vahmī se jo kāhīda hai

    dījiye kis chiiz se tashbīh tere husn ko

    ek tuuhī diida hai tere sivā nādīda hai

    be-hijābī ye ki har sūrat meñ jalva āshakār

    ghūñgaT is par vo ki sūrat aaj tak nādīda hai

    itne but-ḳhānoñ meñ sajde ek ka.aba ke 'evaz

    kufr to islām se baḌh kar tirā girvīda hai

    dam-ba-ḳhud rahne do kyuuñ rusvā ho mujh ko chheḌ kar

    ġhair dariyā bulbule meñ aur kyā poshīda hai

    aadmī sar-kashī ġhaflat hai apnī asal se

    zauq-e-sajda qatra-e-uftāda meñ pechīda hai

    hashr meñ muñh pher kar kahnā kisī haaye haaye

    ‘āsī-e-gustākH har jurm nā-bakHshīda hai

    wasl hai par dil mein ab tak zauq-e-gham pechida hai

    bulbula hai ain dariya mein magar nam-dida hai

    dil ki wo wus'at ki nuqte se bhi kam sat aasman

    jism ye laghar KHatt-e-wahmi se jo kahida hai

    dijiye kis chiz se tashbih tere husn ko

    ek tuhi dida hai tere siwa nadida hai

    be-hijabi ye ki har surat mein jalwa aashakar

    ghungaT is par wo ki surat aaj tak nadida hai

    itne but-KHanon mein sajde ek kaba ke 'ewaz

    kufr to islam se baDh kar tera girwida hai

    dam-ba-KHud rahne do kyun ruswa ho mujh ko chheD kar

    ghair dariya bulbule mein aur kya poshida hai

    aadmi ki sar-kashi ghaflat hai apni asal se

    zauq-e-sajda qatra-e-uftada mein pechida hai

    hashr mein munh pher kar kahna kisi ka haye haye

    ‘asi-e-gustakH ka har jurm na-bakHshida hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now