dil ki har ek baat man dil pe koi jafa na kar
dil kī har ek baat maan dil pe koī jafā na kar
dil hai guzar-gah-e-habīb us ko kabhī ḳhafā na kar
'ishq kī aabrū na kho husn kī be-ruḳhī na dekh
apnī vafā pe rakh nazar un kā kabhī gilā na kar
saaqī kī samt kaan rakh zāhid ḳhushk kī na sun
'ishq kā ehtirām siikh 'aql kī iqtidā na kar
zauq-e-nigāh ko na kar marhūn-e-jalva haaye husn
husn kī jalva-gāh dekh jalvoñ pe iktifā na kar
jiine kī aarzū na kar maqsad-e-zindagī samajh
’ishrat-e-ḳhuld ke liye marne kī iltijā na kar
‘ā'zam’-e-kHasta ḳhūgar rañj-o-alam azal se hai
jis se sukūñ nasīb ho aisī koī du'ā na kar
dil ki har ek baat man dil pe koi jafa na kar
dil hai guzar-gah-e-habib us ko kabhi KHafa na kar
'ishq ki aabru na kho husn ki be-ruKHi na dekh
apni wafa pe rakh nazar un ka kabhi gila na kar
saqi ki samt kan rakh zahid KHushk ki na sun
'ishq ka ehtiram sikh 'aql ki iqtida na kar
zauq-e-nigah ko na kar marhun-e-jalwa haye husn
husn ki jalwa-gah dekh jalwon pe iktifa na kar
jine ki aarzu na kar maqsad-e-zindagi samajh
’ishrat-e-KHuld ke liye marne ki iltija na kar
‘a'zam’-e-kHasta KHugar ranj-o-alam azal se hai
jis se sukun nasib ho aisi koi du'a na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.