main jis nigah pe donon jahan war aaya
maiñ jis nigāh pe donoñ jahāñ vaar aayā
use na merī mohabbat pe e'tibār aayā
tire baġhair mujhe ek pal qarār nahīñ
mire baġhair tujhe kis tarah qarār aayā
kisī ko aañkh milāne kā hausla na huā
tumhārī bazm se jo aayā sharmsār aayā
ḳhudā gavāh jahāñ koī ḳhūb-rū dekhā
mirī zabāñ pe tirā naam bār-bār aayā
tumhārā qurb mire dard kā 'ilāj na thā
tumhār paas rah kar kahāñ qarār aayā
kahīñ milī na mujhe merī be-ḳhudī 'āzam'
maiñ is hadd-e-ḳharābāt tak pukār aayā
main jis nigah pe donon jahan war aaya
use na meri mohabbat pe e'tibar aaya
tere baghair mujhe ek pal qarar nahin
mere baghair tujhe kis tarah qarar aaya
kisi ko aankh milane ka hausla na hua
tumhaari bazm se jo aaya sharmsar aaya
KHuda gawah jahan koi KHub-ru dekha
meri zaban pe tera nam bar-bar aaya
tumhaara qurb mere dard ka 'ilaj na tha
tumhaar pas rah kar kahan qarar aaya
kahin mili na mujhe meri be-KHudi 'azam'
main is hadd-e-KHarabaat tak pukar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.