ye aarzu nahin hai ki qaim ye sar rahe
ye aarzū nahīñ hai ki qaa.im ye sar rahe
merī du'ā to hai ki tirā sañg-e-dar rahe
ai saaqī terī ḳhair tire mai-kade kī ḳhair
aisī pilā ki jis kā nasha umr bhar rahe
furqat kī saḳhtiyāñ mujhe manzūr haiñ magar
itnā zarūr ho ki tujhe bhī ḳhabar rahe
ai jān-e-jāñ tū hī to hai maqsūd-e-kā.ināt
merā nishāñ rahe na rahe tū magar rahe
'āzam' ye aarzū hai ki marne ke vaqt bhī
sūrat huzūr kī mire pesh-e-nazar rahe
ye aarzu nahin hai ki qaim ye sar rahe
meri du'a to hai ki tera sang-e-dar rahe
ai saqi teri KHair tere mai-kade ki KHair
aisi pila ki jis ka nasha umr bhar rahe
furqat ki saKHtiyan mujhe manzur hain magar
itna zarur ho ki tujhe bhi KHabar rahe
ai jaan-e-jaan tu hi to hai maqsud-e-kainat
mera nishan rahe na rahe tu magar rahe
'azam' ye aarzu hai ki marne ke waqt bhi
surat huzur ki mere pesh-e-nazar rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.