taiba se mangai jati hai sine mein chhupai jati hai
taiba se mañgā.ī jaatī hai siine meñ chhupā.ī jaatī hai
tauhīd kī mai-e-sāġhar se nahīñ āñkhoñ se pilā.ī jaatī hai
masjid meñ nahīñ mandir meñ nahīñ maktab meñ nahīñ ma.abad meñ nahīñ
sunte haiñ kitāb-e-'ishq tire kūche meñ paḌhā.ī jaatī hai
ham dil meñ biThā kar us but kī har roz parastish karte haiñ
allāh re tasvīr-e-jāñ ka.abe meñ sajā.ī jaatī hai
allāh kare us chaukhaT tak apnī bhī rasā.ī ho jaa.e
jis chaukhaT par dīvānoñ kī taqdīr banā.ī jaatī hai
is hijr ke jiine se 'āzam' marnā hī gavārā hai mujh ko
sunte haiñ lahad meñ hazrat kī tasvīr dikhā.ī jaatī hai
taiba se mangai jati hai sine mein chhupai jati hai
tauhid ki mai-e-saghar se nahin aankhon se pilai jati hai
masjid mein nahin mandir mein nahin maktab mein nahin mabad mein nahin
sunte hain kitab-e-'ishq tere kuche mein paDhai jati hai
hum dil mein biTha kar us but ki har roz parastish karte hain
allah re taswir-e-jaan kabe mein sajai jati hai
allah kare us chaukhaT tak apni bhi rasai ho jae
jis chaukhaT par diwanon ki taqdir banai jati hai
is hijr ke jine se 'azam' marna hi gawara hai mujh ko
sunte hain lahad mein hazrat ki taswir dikhai jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.