nigah hi se mujhe kuchh pila ke chhoD diya
nigāh hī se mujhe kuchh pilā ke chhoḌ diyā
ḳhudī ke putle ko be-ḳhud banā ke chhoḌ diyā
na uTh sakegā qiyāmat talak ḳhudā kī qasam
ki jis ko tū ne nazar se girā ke chhoḌ diyā
hamārī āñkhoñ ne zarre bhī chun liye us ke
tumhār jalve ne jis ko jalā ke chhoḌ diyā
tirī nigāh kī sar-mastiyoñ kā kyā kahnā
ki mujh ġharīb ko vahshī banā ke chhoḌ diyā
farishte le ke jahannam ko jā rahe the magar
huzūr ne mujhe un se chhuḌā ke chhoḌ diyā
ḳhudā ke vāste 'āzam' ko dar se duur na kar
kahegī ḳhalq ki apnā banā ke chhoḌ diyā
nigah hi se mujhe kuchh pila ke chhoD diya
KHudi ke putle ko be-KHud bana ke chhoD diya
na uTh sakega qiyamat talak KHuda ki qasam
ki jis ko tu ne nazar se gira ke chhoD diya
hamari aankhon ne zarre bhi chun liye us ke
tumhaar jalwe ne jis ko jala ke chhoD diya
teri nigah ki sar-mastiyon ka kya kahna
ki mujh gharib ko wahshi bana ke chhoD diya
farishte le ke jahannam ko ja rahe the magar
huzur ne mujhe un se chhuDa ke chhoD diya
KHuda ke waste 'azam' ko dar se dur na kar
kahegi KHalq ki apna bana ke chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.