kyun humse kinara kar baiThe kyun aana jaana chhoD diya
kyuuñ ham se kinārā kar baiThe kyuuñ aanā jaanā chhoḌ diyā
bīmār-e-mohabbat ke dil par kyuuñ barq girānā chhoḌ diyā
jab tak bigaḌte aap rahe ham aap ko roz manāte rahe
jab aap ne rūThnā chhoḌ diyā ham ne bhī sunānā chhoḌ diyā
jab ġhaur se sunte aap rahe ham kahte rahe afsāna-e-dil
jab aap ne sunñā chhoḌ diyā ham ne bhī sunānā chhoḌ diyā
’aadī the bahut ham piine ke 'ādat sī paḌī thī piine kī
saaqī ne jab āñkheñ dikhlā diiñ sab pīnā-pilānā chhoḌ diyā
dil dard se jaltā rahtā hai ab maare maare phirte ham
jis roz se us but ne ham ko siine se lagānā chhoḌ diyā
na vo lazzat-e-rāz-o-niyāz rahī na vo raunaq-e-soz-sāz rahī
jis din se hamārī mahfil meñ us shoḳh ne aanā chhoḌ diyā
tire jaur-o-jafā se tañg aakar ab ham ne bhī āḳhir ai 'āzam'
hañs-hañs ke rulānā siikh liyā ro-ro ke manānā chhoḌ diyā
kyun hum se kinara kar baiThe kyun aana jaana chhoD diya
bimar-e-mohabbat ke dil par kyun barq girana chhoD diya
jab tak bigaDte aap rahe hum aap ko roz manate rahe
jab aap ne ruThna chhoD diya hum ne bhi sunana chhoD diya
jab ghaur se sunte aap rahe hum kahte rahe afsana-e-dil
jab aap ne sunna chhoD diya hum ne bhi sunana chhoD diya
’adi the bahut hum pine ke 'adat si paDi thi pine ki
saqi ne jab aankhen dikhla din sab pina-pilana chhoD diya
dil dard se jalta rahta hai ab mare mare phirte hum
jis roz se us but ne hum ko sine se lagana chhoD diya
na wo lazzat-e-raaz-o-niyaz rahi na wo raunaq-e-soz-saz rahi
jis din se hamari mahfil mein us shoKH ne aana chhoD diya
tere jaur-o-jafa se tang aakar ab hum ne bhi aaKHir ai 'azam'
hans-hans ke rulana sikh liya ro-ro ke manana chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.