Font by Mehr Nastaliq Web

ab hain ghulam-afrin madarasa-o-kHanqah

Seemab Akbarabadi

ab hain ghulam-afrin madarasa-o-kHanqah

Seemab Akbarabadi

ab haiñ ġhulām-āfrīñ madarasa-o-kHānqāh

matla'-e-mashriq pe hai kHanda-e-maġhrib gavāh

lāla-o-barg-o-gayāh anjum-o-kHurshīd-o-māh

manzil-e-maqsūd tak saiñkaḌoñ haiñ sañg-e-rāh

ilm ke parde meñ bhī chhup nahīñ saktā gunāh

dars-e-shabī ho gayā parda-e-kHānqāh

terī nigah qaidī-e-turra-o-tāj-o-kulāh

merī nazar shahpar-e-ashadu-allā-lā-ilāha

mere liye 'vārsī' do panāheñ to haiñ

maġhfirat-e-be-hisāb ma.asiyat-e-be-panāh

ab hain ghulam-afrin madarasa-o-kHanqah

matla'-e-mashriq pe hai kHanda-e-maghrib gawah

lala-o-barg-o-gayah anjum-o-kHurshid-o-mah

manzil-e-maqsud tak sainkaDon hain sang-e-rah

ilm ke parde mein bhi chhup nahin sakta gunah

dars-e-shabi ho gaya parda-e-kHanqah

teri nigah qaidi-e-turra-o-taj-o-kulah

meri nazar shahpar-e-ashadu-alla-la-ilaha

mere liye 'warsi' do hi panahen to hain

maghfirat-e-be-hisab masiyat-e-be-panah

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now