har jalwa-e-zahir hai baatin hi ki ranai
har jalva-e-zāhir hai bātin hī kī rā'nā.ī
vo aap tamāshā hai aur aap tamāshā.ī
miT kar tire kūche meñ manzil mujhe haath aa.ī
us maut pe sadqe meñ qurbān masīhā.ī
yuuñ 'ishq ke sahrā meñ kar bādiya-paimā.ī
majnūñ bhī pukār uThe saudā.ī hai saudā.ī
kuchh hosh na sarkā ho sajdoñ kā na chaukhaT kā
sañg-e-dar-e-jānāñ par aisī ho jabīñ-sā.ī
miTnā hī mohabbat meñ me'arāj-e-mohabbat hai
hone do mujhe sadqe rahne do masīhā.ī
rahbar hai mohabbat hī sahrā-e-mohabbat meñ
kuchh kaam nahīñ aatī us raah meñ dānā.ī
jab tak na mile the tum kyā kyā mujhe kahnā thā
jab sāmne tum aa.e ik baat na ban aa.ī
ḳhud apnī numā.ish ko parde se nikal aa.e
kaaTe na kaTī tum se ākHir shab-e-tanhā.ī
dīvāna 'ġhanī' mujh ko kahtī hai kahe duniyā
takmīl-e-mohabbat kī ik shart hai rusvā.ī
har jalwa-e-zahir hai baatin hi ki ra'nai
wo aap tamasha hai aur aap tamashai
miT kar tere kuche mein manzil mujhe hath aai
us maut pe sadqe mein qurban masihai
yun 'ishq ke sahra mein kar baadiya-paimai
majnun bhi pukar uThe saudai hai saudai
kuchh hosh na sarka ho sajdon ka na chaukhaT ka
sang-e-dar-e-jaanan par aisi ho jabin-sai
miTna hi mohabbat mein me'araj-e-mohabbat hai
hone do mujhe sadqe rahne do masihai
rahbar hai mohabbat hi sahra-e-mohabbat mein
kuchh kaam nahin aati us rah mein danai
jab tak na mile the tum kya kya mujhe kahna tha
jab samne tum aae ek baat na ban aai
KHud apni numaish ko parde se nikal aae
kaTe na kaTi tum se aakHir shab-e-tanhai
diwana 'ghani' mujh ko kahti hai kahe duniya
takmil-e-mohabbat ki ek shart hai ruswai
- Book : Naghmat-e-Ishq (Pg. 267)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.