tu ne jalwon se sajaya hai jo aiwan-e-hayat
tū ne jalvoñ se sajāyā hai jo aivān-e-hayāt
phuul barsātā hai vahdat ke gulistāñ hayāt
zarra zarra se ayaañ hai terī vahdat ai ḳhudā
tere jalvoñ se munavvar hai shabistān-e-hayāt
ho gayā ma.alūm TuuTā jab tilism-e-zindagī
ma.arifat a'in-e-ḳhudā kī hai ye 'irfān-e-hayāt
terī rahmat mominoñ ke sar pe hai sāya-figan
ḳhauf khaa.e phir ḳhizāñ kā kyuuñ gulistān-e-hayāt
qatl kar ke ḳhanjar-e-abrū se ai 'kāvish' mujhe
yaar ne bhejā hai merā naam farmān-e-hayāt
tu ne jalwon se sajaya hai jo aiwan-e-hayat
phul barsata hai wahdat ke gulistan hayat
zarra zarra se ayan hai teri wahdat ai KHuda
tere jalwon se munawwar hai shabistan-e-hayat
ho gaya malum TuTa jab tilism-e-zindagi
marifat a'in-e-KHuda ki hai ye 'irfan-e-hayat
teri rahmat mominon ke sar pe hai saya-figan
KHauf khae phir KHizan ka kyun gulistan-e-hayat
qatl kar ke KHanjar-e-abru se ai 'kawish' mujhe
yar ne bheja hai merā nam farman-e-hayat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.