teri mahfil mein hum aae hain lekar dil ka nazrana
teri mahfil mein hum aae hain lekar dil ka nazrana
Abdul Hadi Kavish
MORE BYAbdul Hadi Kavish
tirī mahfil meñ ham aa.e haiñ lekar dil kā nazrāna
uThā nazreñ pilā sāġhar banā de ham ko dīvāna
sambhālūñ kaise ab dil ko na kyuuñ sajde karauñ dar par
tirī sūrat meñ aatī hai nazar tasvīr jānāna
maiñ jab thā kuchh na thā kuchh bhī sabhī kuchh huuñ nahīñ hokar
nazar aatā hai har-sū merā jalva be-hijābāna
salāt-o-saum ai vaa.iz ibādat aur riyāzat ye
mubārak hoñ tujhe kaafī hai mujh ko chashm-e-jānāna
hai vasl-e-yār hī jannat jise kahte haiñ ai vaa.iz
visāl-e-yār hāsil gar na ho jannat hai vīrāna
nafaḳhtu fiihi min ruuhī batā de itnā bas mujh ko
ye kaisī parda-dārī hai ye kaisā jalva dikhlānā
tire qadmoñ pe jab rakh dī aqīdat se jabīñ apnī
pilā.e jā tū kāvish ko mai-e-irfāñ aaj paimāna
teri mahfil mein hum aae hain lekar dil ka nazrana
uTha nazren pila saghar bana de hum ko diwana
sambhaalun kaise ab dil ko na kyun sajde karaun dar par
teri surat mein aati hai nazar taswir jaanana
main jab tha kuchh na tha kuchh bhi sabhi kuchh hun nahin hokar
nazar aata hai har-su mera jalwa be-hijabana
salat-o-saum ai waiz ibaadat aur riyazat ye
mubarak hon tujhe kafi hai mujh ko chashm-e-jaanana
hai wasl-e-yar hi jannat jise kahte hain ai waiz
visal-e-yar hasil gar na ho jannat hai virana
nafaKHtu fihi min ruhi bata de itna bas mujh ko
ye kaisi parda-dari hai ye kaisa jalwa dikhlana
tere qadmon pe jab rakh di aqidat se jabin apni
pilae ja tu kawish ko mai-e-irfan aaj paimana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.