Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kHayal-e-ma-siwa pi ki nagariya kaise le jaun

Abdul Hadi Kavish

kHayal-e-ma-siwa pi ki nagariya kaise le jaun

Abdul Hadi Kavish

MORE BYAbdul Hadi Kavish

    kHayāl-e-mā-sivā nagariyā kaise le jā.ūñ

    vo yaktā hai maiñ duuje gagariyā kaise le jā.ūñ

    ye pūjā-pāT mandir aur kalīsā gurudvāre sab

    bakheḌe haiñ unheñ aTariyā kaise le jā.ūñ

    sajan albelvā mujh ko biThā le apne charnoñ meñ

    maiñ paapī jag meñ ye baalī umariyā kaise le jā.ūñ

    to daatā hai to maulā hai to pālanhār hai sab

    mujhe kuchh bhiik de ḳhālī gagariyā kaise le jā.ūñ

    ye phāgun mahīna aur suhānī rut ye holī

    ye tan man ai sakhī nagariyā kaise le jā.ūñ

    husainī rañg meñ rañg de are rañgrejvā ko

    bachā kar tujh se maiñ saadī chunariyā kaise le jā.ūñ

    maiñ se kyā kahūñ 'kāvish' dīvānī huuñ maiñ haidar

    churā kar us najroñ se najariyā kaise le jā.ūñ

    kHayal-e-ma-siwa pi ki nagariya kaise le jaun

    wo yakta hai main duje ki gagariya kaise le jaun

    ye puja-paT mandir aur kalisa gurudware sab

    bakheDe hain unhen pi ki aTariya kaise le jaun

    sajan albelwa mujh ko biTha le apne charnon mein

    main papi jag mein ye baali umariya kaise le jaun

    to data hai to maula hai to palanhaar hai sab ka

    mujhe kuchh bhik de KHali gagariya kaise le jaun

    ye phagun ka mahina aur suhani rut ye holi ki

    ye tan man ai sakhi pi ki nagariya kaise le jaun

    husaini rang mein rang de are rangrejwa mu ko

    bacha kar tujh se main sadi chunariya kaise le jaun

    main tu se kya kahun 'kawish' diwani hun main haidar ki

    chura kar us ki najron se najariya kaise le jaun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now