hajat haram ki hai na sanam-KHana chahiye
hājat haram kī hai na sanam-ḳhāna chāhiye
zauq-e-sujūd ko dar-e-jānāna chāhiye
dil meñ nahīñ hai koī tamannā na aarzū
bas ek tiir nargis-e-mastāna chāhiye
sūrat meñ us sanam kī ḳhudā ko to pā liyā
ab aur kyā tujhe dil-e-dīvāna chāhiye
uTThī nigāh-e-nāz to rindoñ ne ye kahā
is chashm-e-mast-e-nāz kā paimāna chāhiye
jannat kī aarzū hai na hūroñ kī hai talab
har lamha sāmne rū-e-jānāna chāhiye
be-kār hai ye zohd ye taqvā ki husn ko
sab kuchh luTā de jo vahī dīvāna chāhiye
'kāvish' azal se maiñ huuñ fidā-e-abū-turāb
un ke sivā kisī kā na yārāna chāhiye
hajat haram ki hai na sanam-KHana chahiye
zauq-e-sujud ko dar-e-jaanana chahiye
dil mein nahin hai koi tamanna na aarzu
bas ek tir nargis-e-mastana chahiye
surat mein us sanam ki KHuda ko to pa liya
ab aur kya tujhe dil-e-diwana chahiye
uTThi nigah-e-naz to rindon ne ye kaha
is chashm-e-mast-e-naz ka paimana chahiye
jannat ki aarzu hai na huron ki hai talab
har lamha samne ru-e-jaanana chahiye
be-kar hai ye zohd ye taqwa ki husn ko
sab kuchh luTa de jo wahi diwana chahiye
'kawish' azal se main hun fida-e-abu-turab
un ke siwa kisi ka na yarana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.