main masarrat mein KHushi mein hun na ranj-o-gham mein hun
main masarrat mein KHushi mein hun na ranj-o-gham mein hun
Abdul Hadi Kavish
MORE BYAbdul Hadi Kavish
maiñ masarrat meñ ḳhushī meñ huuñ na ranj-o-ġham meñ huuñ
rū-e-jānāñ sāmne hai maiñ ajab aalam meñ huuñ
muskurātā hai mirī rag-rag meñ koī āj-kal
us tarah masrūf apne jism ke mātam maiñ huuñ
kyā satā saktī haiñ mujh ko zindagī kī uljhaneñ
raat din uljhā huā maiñ gesū-e-barham meñ huuñ
bāda-e-tauhīd se labrez hai mirā subū
maiñ sharāb-e-zīst ban kar jām-e-kaif-o-kam meñ huuñ
jal rahe haiñ jān-o-dil 'kāvish' kisī ke ishq meñ
do jahāñ se be-ḳhabar maiñ kaif ke a.alam meñ huuñ
main masarrat mein KHushi mein hun na ranj-o-gham mein hun
ru-e-jaanan samne hai main ajab aalam mein hun
muskuraata hai meri rag-rag mein koi aaj-kal
us tarah masruf apne jism ke matam main hun
kya sata sakti hain mujh ko zindagi ki uljhanen
raat din uljha hua main gesu-e-barham mein hun
baada-e-tauhid se labrez hai mera subu
main sharab-e-zist ban kar jam-e-kaif-o-kam mein hun
jal rahe hain jaan-o-dil 'kawish' kisi ke ishq mein
do jahan se be-KHabar main kaif ke aalam mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.