Sufinama

jab tir-e-nazar dil pe mere yar ne mara

Abdul Hadi Kavish

jab tir-e-nazar dil pe mere yar ne mara

Abdul Hadi Kavish

MORE BYAbdul Hadi Kavish

    jab tīr-e-nazar dil pe mire yaar ne maarā

    rag rag se sadā aa.ī mujhe pyaar ne maarā

    ai husn-e-jahāñ-soz duhā.ī hai duhā.ī

    us barq-e-nazar sho.ala-e-ruḳhsār ne maarā

    duniyā to taḌaptī hai ġham-e-hijr meñ lekin

    rag rag meñ samā kar mujhe dildār ne maarā

    vaa.iz thī rihā.ī tirī inkār meñ tujh ko

    nā-karda gunāhoñ ke bas iqrār ne maarā

    duniyā meñ sabhī marte haiñ lekin zahe qismat

    hai zinda-e-jāved jise yaar ne maarā

    zāhid ko mubārak ye ibādat ye riyāzat

    'kāvish' ko ruḳh-e-yār ke dīdār ne maarā

    jab tir-e-nazar dil pe mere yar ne mara

    rag rag se sada aai mujhe pyar ne mara

    ai husn-e-jahan-soz duhai hai duhai

    us barq-e-nazar shoala-e-ruKHsar ne mara

    duniya to taDapti hai gham-e-hijr mein lekin

    rag rag mein sama kar mujhe dildar ne mara

    waiz thi rihai teri inkar mein tujh ko

    na-karda gunahon ke bas iqrar ne mara

    duniya mein sabhi marte hain lekin zahe qismat

    hai zinda-e-jawed jise yar ne mara

    zahid ko mubarak ye ibaadat ye riyazat

    'kawish' ko ruKH-e-yar ke didar ne mara

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now