Sufinama

bahaaron mein tum ho nazaron mein tum

Abdul Hadi Kavish

bahaaron mein tum ho nazaron mein tum

Abdul Hadi Kavish

MORE BYAbdul Hadi Kavish

    bahāroñ meñ tum ho nazāroñ meñ tum

    chamakte hue chāñd tāroñ meñ tum

    bayābāñ meñ tum marġhzāroñ meñ tum

    gulistāñ ke phūloñ meñ ḳhāroñ meñ tum

    samundar meñ dariyā meñ tum maujzan

    machaltī nadī ābshāroñ meñ tum

    mire gīt-o-naġhma meñ tum ho nihāñ

    mire sāz-e-dil ke ho tāroñ meñ tum

    mire nāz-o-andāz se tum ayaañ

    mirī har adā meñ ishāroñ meñ tum

    kahāñ tak ye 'kāvish' bhalā ab kahe

    mohabbat ke ho tājdāroñ meñ tum

    bahaaron mein tum ho nazaron mein tum

    chamakte hue chand taron mein tum

    bayaban mein tum marghzaron mein tum

    gulistan ke phulon mein KHaron mein tum

    samundar mein dariya mein tum maujzan

    machalti nadi aabshaaron mein tum

    mere git-o-naghma mein tum ho nihan

    mere saz-e-dil ke ho taron mein tum

    mere naz-o-andaz se tum ayan

    meri har ada mein ishaaron mein tum

    kahan tak ye 'kawish' bhala ab kahe

    mohabbat ke ho tajdaron mein tum

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now