saqi ne nigahon ke saghar se wo chhalkai
saaqī ne nigāhoñ ke sāġhar se vo chhalkā.ī
rag rag meñ mohabbat kī bajne lagī shahnā.ī
bikhrā.e hue gesū aayā koī mahfil meñ
mai-ḳhāna-e-hastī pe rahmat kī ghaTā chhā.ī
sūkhī huī shāḳhoñ meñ phūTī hai na.ī koñpal
rauñdā huā sabza bhī lene lagā añgḌā.ī
tauhīd kī purvā.ī chalne lagī aalam meñ
sāvan meñ har ik shai ne jiine kī adā paa.ī
har dam dar-e-haidar par faizān kī bārish hai
kahte haiñ miyāñ 'kāvish' barsāt kī rut aa.ī
saqi ne nigahon ke saghar se wo chhalkai
rag rag mein mohabbat ki bajne lagi shahnai
bikhrae hue gesu aaya koi mahfil mein
mai-KHana-e-hasti pe rahmat ki ghaTa chhai
sukhi hui shaKHon mein phuTi hai nai konpal
raunda hua sabza bhi lene laga angDai
tauhid ki purwai chalne lagi aalam mein
sawan mein har ek shai ne jine ki ada pai
har dam dar-e-haidar par faizan ki barish hai
kahte hain miyan 'kawish' barsat ki rut aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.