ye asir-e-ranj-o-rahat mein asir-e-zulf-e-jaanana
ye asir-e-ranj-o-rahat mein asir-e-zulf-e-jaanana
Abdul Hadi Kavish
MORE BYAbdul Hadi Kavish
ye asīr-e-ranj-o-rāhat meñ asīr-e-zulf-e-jānāna
bhalā kyā samajh sakegā mujhe nā samajh zamāna
maiñ janm janm kā piyāsā mirī tishnagī miTā.ī
tirā mai-kada salāmat nigah-e-qalandarāna
tujhe ḳhuld kī tamannā mujhe aarzū sanam kī
tirī fahm se hai baalā mirā ishq 'ārifāna
zarā dekh apne dil ko vo nihāñ hai tere dil meñ
jise kar rahā hai har sū tū talāsh-e-ġhā.ebāna
ġham-e-zindagī nahīñ hai mujhe fikr-e-dīñ nahīñ hai
dar-e-murtazā pe 'kāvish' jhukā sar hai 'ājizāna
ye asir-e-ranj-o-rahat mein asir-e-zulf-e-jaanana
bhala kya samajh sakega mujhe na samajh zamana
main janm janm ka piyasa meri tishnagi miTai
tera mai-kada salamat nigah-e-qalandarana
tujhe KHuld ki tamanna mujhe aarzu sanam ki
teri fahm se hai baala mera ishq 'arifana
zara dekh apne dil ko wo nihan hai tere dil mein
jise kar raha hai har su tu talash-e-ghaebana
gham-e-zindagi nahin hai mujhe fikr-e-din nahin hai
dar-e-murtaza pe 'kawish' jhuka sar hai 'ajizana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.