dil jigar ko ashana-e-dard-e-ulfat kar diya
dil jigar ko ashānā-e-dard-e-ulfat kar diyā
ik nigāh-e-nāz ne sāmān-e-rāhat kar diyā
DhūñDhtā phirtā thā tujh ko jā-bajā ai yaar maiñ
vo pilā.ī tū ne mujh ko rāz-e-vahdat kar diyā
chashm-e-nargis kā ishāra pā ke ham ne ai sanam
ḳhūn-e-dil ḳhūn-e-tamannā ḳhūn-e-hasrat kar diyā
vaqf har ik saañs kar dī zikr-e-jānāñ ke liye
dil kī dhaḌkan ko ham-āhañg-e-ulfat kar diyā
dekhiye tū har taraf rañgīniyāñ haiñ husn kī
zindagī ko ishq ne āġhosh-e-jannat kar diyā
dekhte hī dekhte gum hoga.ī kul kā.enāt
har tasavvur ham ne 'kāvish' vaqf-e-sūrat kar diyā
dil jigar ko ashana-e-dard-e-ulfat kar diya
ek nigah-e-naz ne saman-e-rahat kar diya
DhunDhta phirta tha tujh ko ja-baja ai yar main
wo pilai tu ne mujh ko raaz-e-wahdat kar diya
chashm-e-nargis ka ishaara pa ke hum ne ai sanam
KHun-e-dil KHun-e-tamanna KHun-e-hasrat kar diya
waqf har ek sans kar di zikr-e-jaanan ke liye
dil ki dhaDkan ko ham-ahang-e-ulfat kar diya
dekhiye tu har taraf ranginiyan hain husn ki
zindagi ko ishq ne aaghosh-e-jannat kar diya
dekhte hi dekhte gum hogai kul kaenat
har tasawwur hum ne 'kawish' waqf-e-surat kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.