unki nazron ka adna ishaara jo mil gaya
un kī nazroñ kā adnā ishāra jo mil gayā
lāhūt se bhī aage hamārā ye dil gayā
saarā jahāñ chhoḌ diyā ham ne ishq meñ
zāhid kā dil savāb na milne pe hil gayā
jis ne sanam ko dil meñ biThāyā ba-sad ḳhulūs
pahuñchā vo hī murād ko rab us ko mil gayā
apnā hī aks paayā jis samt kī nazar
vaa.iz harīm-e-nāz meñ jab apnā dil gayā
kumhlā gayā thā ma.arifat-e-tauhīd kā jo phuul
ik chashm-e-mast-e-nāz meñ vaa.iz vo khul gayā
gum huuñ maiñ apnī zaat meñ 'kāvish' meñ kyā kahūñ
maiñ raaz ban gayā huuñ merā muñh bhī sil gayā
un ki nazron ka adna ishaara jo mil gaya
lahut se bhi aage hamara ye dil gaya
sara jahan chhoD diya hum ne ishq mein
zahid ka dil sawab na milne pe hil gaya
jis ne sanam ko dil mein biThaya ba-sad KHulus
pahuncha wo hi murad ko rab us ko mil gaya
apna hi aks paya jis samt ki nazar
waiz harim-e-naz mein jab apna dil gaya
kumhla gaya tha marifat-e-tauhid ka jo phul
ek chashm-e-mast-e-naz mein waiz wo khul gaya
gum hun main apni zat mein 'kawish' mein kya kahun
main raaz ban gaya hun mera munh bhi sil gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.