muskura kar usne jab ulTi naqab
muskurā kar us ne jab ulTī naqāb
uTh ga.e nazroñ pe jitne the hijāb
chashm-e-maigūñ se pilā kar be-hisāb
dīn-o-īmāñ ko kiyā mere ḳharāb
ḳhalvat-e-dil meñ jigar meñ āj-kal
karvaTeñ letā hai vo mast-e-shabāb
kis ko fursat bandagī kī ab yahāñ
rū-e-jānāñ sāmne hai be-hijāb
thā karam jo ḳhud se vābasta kiyā
varna tum bahr-e-haqīqat meñ habāb
chuTkiyāñ le le ke 'kāvish' naaz se
chheḌtā hai vo mere dil kā rubāb
muskura kar us ne jab ulTi naqab
uTh gae nazron pe jitne the hijab
chashm-e-maigun se pila kar be-hisab
din-o-iman ko kiya mere KHarab
KHalwat-e-dil mein jigar mein aaj-kal
karwaTen leta hai wo mast-e-shabab
kis ko fursat bandagi ki ab yahan
ru-e-jaanan samne hai be-hijab
tha karam jo KHud se wabasta kiya
warna tum bahr-e-haqiqat mein habab
chuTkiyan le le ke 'kawish' naz se
chheDta hai wo mere dil ka rubab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.