lekar jahan ke husn ko shams-o-qamar ko kya karun
lekar jahan ke husn ko shams-o-qamar ko kya karun
Abdul Hadi Kavish
MORE BYAbdul Hadi Kavish
lekar jahāñ ke husn ko shams-o-qamar ko kyā karūñ
mujh ko to tum pasand apnī nazar ko kyā karūñ
pahlū meñ apne dil ko meñ yuuñ to sambhālūñ magar
abrū us kī kaTār ko tīr-e-nazar ko kyā karūñ
vaa.iz zarā to ġhaur kar ka.aba to hai ḳhudā kā ghar
martā huuñ ik sanam pe maiñ jākar udhar ko kyā karūñ
hastī meñ apnī gum huuñ maiñ chhā.ī huī hai be-ḳhudī
zāhid batā to ab mujhe shām-o-sahar ko kyā karūñ
sher-e-ḳhudā kā huuñ gadā kaafī hai mujh ko bas yahī
'kāvish' maiñ tāj-o-taḳht ko māl-o-guhar ko kyā karūñ
lekar jahan ke husn ko shams-o-qamar ko kya karun
mujh ko to tum pasand apni nazar ko kya karun
pahlu mein apne dil ko mein yun to sambhaalun magar
abru us ki kaTar ko tir-e-nazar ko kya karun
waiz zara to ghaur kar kaba to hai KHuda ka ghar
marta hun ek sanam pe main jakar udhar ko kya karun
hasti mein apni gum hun main chhai hui hai be-KHudi
zahid bata to ab mujhe sham-o-sahar ko kya karun
sher-e-KHuda ka hun gada kafi hai mujh ko bas yahi
'kawish' main taj-o-taKHt ko mal-o-guhar ko kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.