dastan ishq-o-mohabbat ki kitabon mein nahin
dāstāñ ishq-o-mohabbat kī kitāboñ meñ nahīñ
jo nashsha aañkh meñ terī hai sharāboñ meñ nahīñ
ruup badlā hai ki Dhaa.ī hai qiyāmat tū ne
log kahte haiñ nazar aatā hai jo ḳhvāboñ meñ nahīñ
kaun kahtā hai tujhe parda-nashīñ jān-e-jahāñ
zarra zarra se ayaañ to hai hijāboñ meñ nahīñ
bū-e-ahmad hai kahīñ aur kahīñ rañg-e-alī
ye kuchh kamī gulshan-e-zahrā ke gulāboñ meñ nahīñ
har adā terī nirālī hai magar jān-e-jahāñ
ek insāñ meñ samā jaanā hisāboñ meñ nahīñ
ho alag tujh se to 'kāvish' kahe apnī rūdād
apnī hastī bhī samundar ke habāboñ meñ nahīñ
dastan ishq-o-mohabbat ki kitabon mein nahin
jo nashsha aankh mein teri hai sharabon mein nahin
rup badla hai ki Dhai hai qiyamat tu ne
log kahte hain nazar aata hai jo KHwabon mein nahin
kaun kahta hai tujhe parda-nashin jaan-e-jahan
zarra zarra se ayan to hai hijabon mein nahin
bu-e-ahmad hai kahin aur kahin rang-e-ali
ye kuchh kami gulshan-e-zahra ke gulabon mein nahin
har ada teri nirali hai magar jaan-e-jahan
ek insan mein sama jaana hisabon mein nahin
ho alag tujh se to 'kawish' kahe apni rudad
apni hasti bhi samundar ke hababon mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.