wo nashsha us nazar ki sharab ka hai
vo nashsha us nazar kī sharāb kā hai
yaad mujh ko na din hisāb kā hai
ruḳh se parda uThā ke dekho to
nuur zarroñ meñ āftāb kā hai
jo ḳhudā ne likhī thī roz-e-azal
ye sabaq to isī kitāb kā hai
har ghaḌī un ko ḳhud meñ paatā huuñ
ye karam mujh pe āñ-janāb kā hai
allāh allāh ye chehra-e-dil-kash
phuul jaise koī gulāb kā hai
yaad karatā hai shaah haidar ko
banda-e-'kāvish' jo bū-turāb kā hai
wo nashsha us nazar ki sharab ka hai
yaad mujh ko na din hisab ka hai
ruKH se parda uTha ke dekho to
nur zarron mein aaftab ka hai
jo KHuda ne likhi thi roz-e-azal
ye sabaq to isi kitab ka hai
har ghaDi un ko KHud mein pata hun
ye karam mujh pe aan-janab ka hai
allah allah ye chehra-e-dil-kash
phul jaise koi gulab ka hai
yaad karata hai shah haidar ko
banda-e-'kawish' jo bu-turab ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.