tere mai-KHana mein ai saqi ye kaisa josh hai
tere mai-ḳhāna meñ ai saaqī ye kaisā josh hai
dekhiye jis rind ko bhī be-ḳhud-o-mad.hosh hai
donoñ a.alam kī ḳhabar hai aur ḳhud se be-ḳhabar
be-ḳhudī meñ bhī tirā mai-ḳhvār to bā-hosh hai
mast nazroñ se pilā.e jā tū sāġhar pai ba pai
mai-kashoñ kī ziist kā hāsil ye nāv-o-nosh hai
rū-e-zebā gar na dekhe chashm vo hai chashm-kor
tire qadmoñ par na ho jab sar vabāl-e-dosh hai
tujh pe qurbāñ ai hasīn-o-mahjabīñ ye jān-o-dil
tū azal hī se ḳhatā-kāroñ kā pardā-posh hai
ab to ye hālat hai 'kāvish' kī junūn-e-ishq meñ
log kahte haiñ ki pāgal hai magar bā-hosh hai
tere mai-KHana mein ai saqi ye kaisa josh hai
dekhiye jis rind ko bhi be-KHud-o-madhosh hai
donon aalam ki KHabar hai aur KHud se be-KHabar
be-KHudi mein bhi tera mai-KHwar to ba-hosh hai
mast nazron se pilae ja tu saghar pai ba pai
mai-kashon ki zist ka hasil ye naw-o-nosh hai
ru-e-zeba gar na dekhe chashm wo hai chashm-kor
tere qadmon par na ho jab sar wabaal-e-dosh hai
tujh pe qurban ai hasin-o-mahjabin ye jaan-o-dil
tu azal hi se KHata-karon ka parda-posh hai
ab to ye haalat hai 'kawish' ki junun-e-ishq mein
log kahte hain ki pagal hai magar ba-hosh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.