aap aate nahin jaan jati nahin
aap aate nahīñ jaan jaatī nahīñ
aap kī muntazir hai ye jaan hazīñ
aap aa.eñ to marnā ho kitnā hasīñ
gulistāñ gulistāñ añgbīñ añgbīñ
añgbīñ añgbīñ yāsmīñ yāsmīñ
aap aa.eñ to be-sāḳhta bil-yaqīñ
jaan ḳhushbū kī mānind uḌ jā.egī
aap aate nahīñ jaan jaatī nahii.
jaan bhī aap kī ik adā hoga.ī
aap rūThe to ye bhī ḳhafā hoga.ī
dil ko talkīf be-intihā ho ga.ī
nā-gahāñ hoga.ī barmalā hoga.ī
aap kī jab bhī chashm-e-atā hoga.ī
jaan ḳhushbū kī mānind uḌ jā.eñge
aap aate nahin jaan jati nahin
aap ki muntazir hai ye jaan hazin
aap aaen to marna ho kitna hasin
gulistan gulistan angbin angbin
angbin angbin yasmin yasmin
aap aaen to be-saKHta bil-yaqin
jaan KHushbu ki manind uD jaegi
aap aate nahin jaan jati nahi
jaan bhi aap ki ek ada hogai
aap ruThe to ye bhi KHafa hogai
dil ko talkif be-intiha ho gai
na-gahan hogai barmala hogai
aap ki jab bhi chashm-e-ata hogai
jaan KHushbu ki manind uD jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.