apne diwane ko zalim is tarah taDpa na ab
apne dīvāne ko zālim is tarah taḌpā na ab
mast nazroñ se pilā kar kah bhī de dīvāna ab
har ghaḌī rahne lagā hai aap kā dil meñ ḳhayāl
ban na jaaye phir mohabbat kā koī afsāna ab
kab talak rakhegā tishna-kām apne rind ko
khol de saaqī hamāre vāste mai-ḳhāna ab
aur thoḌā sā pilā deñ us ko jām-e-ma.arifat
hosh meñ aane lagā hai aap kā dīvāna ab
har qadam par beTiyoñ kī aabrū ḳhatre meñ hai
yā ilāhī bhej de phir se koī sultāna ab
ho ga.ī hai tañg insāñ ke liye itnī zamīñ
chāñd par banñe lagā hai dekhiye kāshāna ab
niiñd se bedār karnā hai jo 'dānish' qaum ko
phir sunāo apne maazī kā use afsāna ab
apne diwane ko zalim is tarah taDpa na ab
mast nazron se pila kar kah bhi de diwana ab
har ghaDi rahne laga hai aap ka dil mein KHayal
ban na jaye phir mohabbat ka koi afsana ab
kab talak rakhega tishna-kaam apne rind ko
khol de saqi hamare waste mai-KHana ab
aur thoDa sa pila den us ko jam-e-marifat
hosh mein aane laga hai aap ka diwana ab
har qadam par beTiyon ki aabru KHatre mein hai
ya ilahi bhej de phir se koi sultana ab
ho gai hai tang insan ke liye itni zamin
chand par banne laga hai dekhiye kashana ab
nind se bedar karna hai jo 'danish' qaum ko
phir sunao apne mazi ka use afsana ab
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 124)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.