chali kahan hai hamesha yahan kisi ki akaD
chalī kahāñ hai hamesha yahāñ kisī kī akaḌ
dikhā rahe ho jo tum apnī zindagī kī akaḌ
sabhī añdhere burā.ī ke ek ho kar bhī
miTā na paa.e mohabbat kī raushnī kī akaḌ
ḳhudā kī lāThī meñ āvāz to nahīñ phir bhī
nikāl detī hai ik pal meñ aadmī kī akaḌ
hazāroñ āñdhiyāñ aa.eñ ḳhizāñ bhī aa.e magar
guloñ meñ aaj bhī baaqī hai tāzgī kī akaḌ
pahuñch ke chāñd pe sābit ye kar diyā ham ne
ḳhayāl-o-fikr se aage hai aadmī kī akaḌ
añdherī raat meñ imdād le ke jugnū kī
nikālī shaam ne sab sub.h-e-āgahī kī akaḌ
sunī jo hazrat-e-‘dānish’ ne ye ġhazal merī
dikhānā bhuul ga.e apnī shā.irī kī akaḌ
chali kahan hai hamesha yahan kisi ki akaD
dikha rahe ho jo tum apni zindagi ki akaD
sabhi andhere burai ke ek ho kar bhi
miTa na pae mohabbat ki raushni ki akaD
KHuda ki laThi mein aawaz to nahin phir bhi
nikal deti hai ek pal mein aadmi ki akaD
hazaron aandhiyan aaen KHizan bhi aae magar
gulon mein aaj bhi baqi hai tazgi ki akaD
pahunch ke chand pe sabit ye kar diya hum ne
KHayal-o-fikr se aage hai aadmi ki akaD
andheri raat mein imdad le ke jugnu ki
nikali sham ne sab subh-e-agahi ki akaD
suni jo hazrat-e-‘danish’ ne ye ghazal meri
dikhana bhul gae apni shairi ki akaD
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 127)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.