tamam umr kuchh aise KHayal-e-yar raha
tamām umr kuchh aise ḳhayāl-e-yār rahā
ki ba.ad-e-marg bhī har zarra be-qarār rahā
savāl-e-jabar rahā aur na iḳhtiyār rahā
mere amal kā karam par hī inhisār rahā
kis kā naqsh-e-qadam ban ke barqarār rahā
vo ḳhāk-e-pā huuñ ki vaqf-e-kHirām-e-yār rahā
merā maqām pas-e-marg rāh-guzār rahā
maiñ vo ḳhāksār huuñ ki braham merā mazār rahā
kamāl-e-sajjda to dekho ki mere sar kī jagah
dar-e-niyāz pe naqsh ḳhirām-e-yār rahā
kisī kī zulf-e-pareshāñ kā ye tasarruf hai
azal se dāman-e-hastī jo tār-tār rahā
ye kis kī ḳhaak hai āḳhir jo gard-e-rāh banī
ye kaun hai jise miT kar bhī intizār rahā
sar-e-niyāz ne sajdoñ kī intihā kar dī
nishān-e-dar na rahā phir bhī sajda-bār rahā
adam se jānib-e-hastī 'nizāmī'-e-ḳhasta
talāsh-e-yār meñ vaqf-e-talāsh-e-yār rahā
tamam umr kuchh aise KHayal-e-yar raha
ki baad-e-marg bhi har zarra be-qarar raha
sawal-e-jabar raha aur na iKHtiyar raha
mere amal ka karam par hi inhisar raha
kis ka naqsh-e-qadam ban ke barqarar raha
wo KHak-e-pa hun ki waqf-e-kHiram-e-yar raha
mera maqam pas-e-marg rah-guzar raha
main wo KHaksar hun ki braham mera mazar raha
kamal-e-sajjda to dekho ki mere sar ki jagah
dar-e-niyaz pe naqsh KHiram-e-yar raha
kisi ki zulf-e-pareshan ka ye tasarruf hai
azal se daman-e-hasti jo tar-tar raha
ye kis ki KHak hai aaKHir jo gard-e-rah bani
ye kaun hai jise miT kar bhi intizar raha
sar-e-niyaz ne sajdon ki intiha kar di
nishan-e-dar na raha phir bhi sajda-bar raha
adam se jaanib-e-hasti 'nizami'-e-KHasta
talash-e-yar mein waqf-e-talash-e-yar raha
- Book : Payam-e-Ishq (Pg. 45)
- Author : Abul Haqaiq Nizami
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.