maqam-e-wasl mein be-tab hun qarar nahin
maqām-e-vasl meñ be-tāb huuñ qarār nahīñ
taḌap rahā huuñ kisī kā bhī intizār nahīñ
nigāh-e-shauq meñ jalvoñ kā kuchh shumār nahīñ
hazār baar jo dekhūñ to ek baar nahīñ
savāl-e-dīd pe bole ki tāb-e-dīd bhī hai
uThe jo parda rahe tū ye zīnhār nahīñ
qadam qadam pe na kyuuñ sajda-rez maiñ hotā
mirī nazar meñ kahā naqsh-e-pā-e-yār nahīñ
vo rañg laayā hai har samt zauq-e-nazzāra
kahāñ vo husn nahīñ hai kahāñ nigār nahīñ
qadam qadam pe hai manzil magar 'nizāmī' ko
kahīñ qiyām nahīñ hai kahīñ qarār nahīñ
samajh ke kahnā 'nizāmī' ye kyā kahā tū ne
maqām-e-mimbar-o-mehrāb hai ye daar nahīñ
maqam-e-wasl mein be-tab hun qarar nahin
taDap raha hun kisi ka bhi intizar nahin
nigah-e-shauq mein jalwon ka kuchh shumar nahin
hazar bar jo dekhun to ek bar nahin
sawal-e-did pe bole ki tab-e-did bhi hai
uThe jo parda rahe tu ye zinhaar nahin
qadam qadam pe na kyun sajda-rez main hota
meri nazar mein kaha naqsh-e-pa-e-yar nahin
wo rang laya hai har samt zauq-e-nazzara
kahan wo husn nahin hai kahan nigar nahin
qadam qadam pe hai manzil magar 'nizami' ko
kahin qiyam nahin hai kahin qarar nahin
samajh ke kahna 'nizami' ye kya kaha tu ne
maqam-e-mimbar-o-mehrab hai ye dar nahin
- Book : Payam-e-Ishq
- Author : Abul Haqaiq Nizami
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.