aabaad hun main tab-e-ruKH-e-yar dekh kar
ābād huuñ maiñ tāb-e-ruḳh-e-yār dekh kar
jiitā huuñ zarre zarre meñ dīdār dekh kar
us kā meñ sirr hoñ ki nahīñ jis kī intihā
hairat meñ huuñ maiñ ḳhud ko pur-asrār dekh kar
paatā huuñ apne aap ko manzil meñ yuuñ ravāñ
har aan meñ maiñ ḳhud ko sar-e-dār dekh kar
ka.aba samajh ke aur na but-ḳhāna jaan kar
sar rakh diyā hai kūcha-e-dildār dekh kar
ma.alūm ho gayā mujhe sab kā hai asal ek
manzil meñ ek saath gul-o-ḳhār dekh kar
ġhāfil nahīñ huuñ manzil-e-jānāñ meñ aake maiñ
dam le rahā huuñ sāya-e-dīvār dekh kar
karte rahe sitam pe sitam aur ḳhush hue
merī vo āzmā.ish-e-āzār dekh kar
har chand mujh meñ naaz se chhupnā the chāhte
aisā na ho sakā mujhe hoshiyār dekh kar
maiñ ek naqsh-e-āb 'nizāmī' thā darmiyāñ
us ne miTā diyā mujhe be-kār dekh kar
aabaad hun main tab-e-ruKH-e-yar dekh kar
jita hun zarre zarre mein didar dekh kar
us ka mein sirr hon ki nahin jis ki intiha
hairat mein hun main KHud ko pur-asrar dekh kar
pata hun apne aap ko manzil mein yun rawan
har aan mein main KHud ko sar-e-dar dekh kar
kaba samajh ke aur na but-KHana jaan kar
sar rakh diya hai kucha-e-dildar dekh kar
malum ho gaya mujhe sab ka hai asal ek
manzil mein ek sath gul-o-KHar dekh kar
ghafil nahin hun manzil-e-jaanan mein aake main
dam le raha hun saya-e-diwar dekh kar
karte rahe sitam pe sitam aur KHush hue
meri wo aazmaish-e-azar dekh kar
har chand mujh mein naz se chhupna the chahte
aisa na ho saka mujhe hoshiyar dekh kar
main ek naqsh-e-ab 'nizami' tha darmiyan
us ne miTa diya mujhe be-kar dekh kar
- Book : Payam-e-Ishq
- Author : Abul Haqaiq Nizami
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.