jahan-e-gham mein jise be-qarar dekha hai
jahān-e-ġham meñ jise be-qarār dekhā hai
asīr-e-kashmakash-e-intizār dekhā hai
harīs hai nigah-e-shauq kis qadar ki unheñ
bachā bachā ke nazar bār-bār dekhā hai
chubhī haiñ siine meñ jiine kī hasrateñ kyā kyā
kisī ne jab hameñ begāna-vār dekhā hai
samajh meñ aa na sake mo.ajize mohabbat ke
ki nā-ummīd ko umīd-vār dekhā hai
kahīñ jahāñ meñ na ham ko milā vo lutf-e-hayāt
jo zer-e-sāya-e-dīvār yaar dekhā hai
jahan-e-gham mein jise be-qarar dekha hai
asir-e-kashmakash-e-intizar dekha hai
haris hai nigah-e-shauq kis qadar ki unhen
bacha bacha ke nazar bar-bar dekha hai
chubhi hain sine mein jine ki hasraten kya kya
kisi ne jab hamein begana-war dekha hai
samajh mein aa na sake moajize mohabbat ke
ki na-ummid ko umid-war dekha hai
kahin jahan mein na hum ko mila wo lutf-e-hayat
jo zer-e-saya-e-diwar yar dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.