un se aur shikwa-e-gham ai dil-e-nashad nahin
un se aur shikva-e-ġham ai dil-e-nāshād nahīñ
ki mohabbat kī zabāñ naġhma hai fariyād nahīñ
saḳht kHud-bīñ-o-kHud-ārā hai urūs-e-hastī
ye vo shīrīñ hai jise hājat-e-farhād nahīñ
un se kis tarah taġhāful kī talāfī chāheñ
jo hameñ yaad haiñ bāteñ vo unheñ yaad nahīñ
sar ḳhushī ahal ho maiñ hī ko sazā-vār rahe
ishq ko hausla-e-shikva-e-bedād nahīñ
kyā zamāne meñ na.e naqsh ubhāregī 'adīb'
vo mohabbat jo harīs-e-ġham-e-bedād nahīñ
un se aur shikwa-e-gham ai dil-e-nashad nahin
ki mohabbat ki zaban naghma hai fariyaad nahin
saKHt kHud-bin-o-kHud-ara hai urus-e-hasti
ye wo shirin hai jise hajat-e-farhad nahin
un se kis tarah taghaful ki talafi chahen
jo hamein yaad hain baaten wo unhen yaad nahin
sar KHushi ahal ho main hi ko saza-war rahe
ishq ko hausla-e-shikwa-e-bedad nahin
kya zamane mein nae naqsh ubhaaregi 'adib'
wo mohabbat jo haris-e-gham-e-bedad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.