afsana mere dard ka us yar se kah do
afsana mere dard ka us yar se kah do
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
afsāna mere dard kā us yaar se kah do
furqat kī musībat ko dil-āzār se kah do
ek tū hī nahīñ maiñ bhī huuñ un āñkhoñ kā maarā
ai ahl-e-nazar nargis-e-bīmār se kah do
maiñ ishq kī millat meñ huuñ ai shaiḳh-o-barahman
jā ishq mere sub.ha-o-zunnār se kah do
kyā josh meñ hai ab mai-e-vahdat ḳhum-e-dil meñ
ublī hai paḌī 'rūmī'-o-'attār' se kah do
mushkil jo 'niyāz' aa.ī tumheñ faqr meñ darpesh
jā shāh-e-najaf haidar-e-karrār se kah do
afsana mere dard ka us yar se kah do
furqat ki musibat ko dil-azar se kah do
ek tu hi nahin main bhi hun un aankhon ka mara
ai ahl-e-nazar nargis-e-bimar se kah do
main ishq ki millat mein hun ai shaiKH-o-barahman
ja ishq mere subha-o-zunnar se kah do
kya josh mein hai ab mai-e-wahdat KHum-e-dil mein
ubli hai paDi 'rumi'-o-'attar' se kah do
mushkil jo 'niyaz' aai tumhein faqr mein darpesh
ja shah-e-najaf haidar-e-karrar se kah do
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 153)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.