Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

agar kaba ka ruKH bhi jaanib-e-mai-KHana ho jae

Bedam Shah Warsi

agar kaba ka ruKH bhi jaanib-e-mai-KHana ho jae

Bedam Shah Warsi

MORE BYBedam Shah Warsi

    agar ka.aba ruḳh bhī jānib-e-mai-ḳhāna ho jaa.e

    to phir sajda mirī har laġhzish-e-mastāna ho jaa.e

    vahī dil hai jo husn-o-ishq kāshāna ho jaa.e

    vo sar hai jo kisī teġh nazrāna ho jaa.e

    ye achchhī parda-dārī hai ye achchhī rāzdārī hai

    ki jo aa.e tumhārī bazm meñ dīvāna ho jaa.e

    mirā sar kaT ke maqtal meñ gire qātil ke qadmoñ par

    dam-e-āḳhir adā yuuñ sajda-e-shukrāna ho jaa.e

    tirī sarkār meñ laayā huuñ Daalī hasrat-e-dil

    ajab kyā hai mirā manzūr ye nazrāna ho jaa.e

    shab-e-furqat jab kuchh tuul kam honā nahīñ mumkin

    to merī zindagī muḳhtasar afsāna ho jaa.e

    vo sajde jin se barsoñ ham ne ka.aba ko sajāyā hai

    jo but-ḳhāne ko mil jaa.eñ to phir but-ḳhāna ho jaa.e

    kisī zulf bikhre aur bikhar kar dosh par aa.e

    dil-e-sad-chāk uljhe aur ulajh kar shāna ho jaa.e

    yahāñ honā na honā hai na honā ain honā hai

    jise honā ho kuchh ḳhāk-e-dar-e-jānāna ho jaa.e

    sahr tak sab hai anjām jal kar ḳhaak ho jaanā

    bane mahfil meñ koī sham.a parvāna ho jaa.e

    vo mai de de jo pahle shiblī-o-mansūr ko thī

    to 'bedam' bhī nisār-e-murshid-e-mai-ḳhāna ho jaa.e

    agar kaba ka ruKH bhi jaanib-e-mai-KHana ho jae

    to phir sajda meri har laghzish-e-mastana ho jae

    wahi dil hai jo husn-o-ishq ka kashana ho jae

    wo sar hai jo kisi ki tegh ka nazrana ho jae

    ye achchhi parda-dari hai ye achchhi raazdari hai

    ki jo aae tumhaari bazm mein diwana ho jae

    mera sar kaT ke maqtal mein gire qatil ke qadmon par

    dam-e-aKHir ada yun sajda-e-shukrana ho jae

    teri sarkar mein laya hun Dali hasrat-e-dil ki

    ajab kya hai mera manzur ye nazrana ho jae

    shab-e-furqat ka jab kuchh tul kam hona nahin mumkin

    to meri zindagi ka muKHtasar afsana ho jae

    wo sajde jin se barson hum ne kaba ko sajaya hai

    jo but-KHane ko mil jaen to phir but-KHana ho jae

    kisi ki zulf bikhre aur bikhar kar dosh par aae

    dil-e-sad-chaak uljhe aur ulajh kar shana ho jae

    yahan hona na hona hai na hona ain hona hai

    jise hona ho kuchh KHak-e-dar-e-jaanana ho jae

    sahr tak sab ka hai anjam jal kar KHak ho jaana

    bane mahfil mein koi shama ya parwana ho jae

    wo mai de de jo pahle shibli-o-mansur ko di thi

    to 'bedam' bhi nisar-e-murshid-e-mai-KHana ho jae

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Abida Parveen

    Abida Parveen

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now