agar qismat se main unki gali mein KHak ho jata
agar qismat se main unki gali mein KHak ho jata
Hassan Raza Barelvi
MORE BYHassan Raza Barelvi
agar qismat se maiñ un kī galī meñ ḳhaak ho jaatā
ġham-e-kaunain kā saarā bakheḌā paak ho jaatā
lab-e-jāñ-baḳhsh kī qurbat hayāt-e-jāvidāñ detī
agar Dorā nafs kā resha-e-misvāk ho jaatā
huā dil soḳhatoñ ko chāhiye thī un ke dāman kī
ilāhī sub.h-e-mahshar kā garebāñ chaak ho jaatā
agar paivand malbūs-e-payambar ke nazar aa.e
tirā ai huliya-e-shāhī kaleja chaak ho jaatā
kamāñ-dār nubuvvat qādar-andāz meñ yaktā haiñ
do 'ālam kyuuñ na un kā basta-e-fitrāk ho jaatā
na hotī shaaq gar dar kī judā.ī tere zarre ko
qamar ik aur bhī raushan sar-e-aflāk ho jaatā
'hasan' ahl-e-nazar 'izzat se āñkhoñ meñ jagah dete
agar ye musht-e-ḳhāk un kī galī kī ḳhaak ho jaatā
agar qismat se main un ki gali mein KHak ho jata
gham-e-kaunain ka sara bakheDa pak ho jata
lab-e-jaan-baKHsh ki qurbat hayat-e-jawidan deti
agar Dora nafs ka resha-e-miswak ho jata
hua dil soKHaton ko chahiye thi un ke daman ki
ilahi subh-e-mahshar ka gareban chaak ho jata
agar paiwand malbus-e-payambar ke nazar aae
tera ai huliya-e-shahi kaleja chaak ho jata
kaman-dar nubuwwat qadar-andaz mein yakta hain
do 'alam kyun na un ka basta-e-fitrak ho jata
na hoti shaq gar dar ki judai tere zarre ko
qamar ek aur bhi raushan sar-e-aflak ho jata
'hasan' ahl-e-nazar 'izzat se aankhon mein jagah dete
agar ye musht-e-KHak un ki gali ki KHak ho jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.