agarche nafs-e-ammara mein ye jumbish nahin hoti
agarche nafs-e-ammara mein ye jumbish nahin hoti
Azizuddin Rizwan Qadri
MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri
agarche nafs-e-ammāra meñ ye jumbish nahīñ hotī
to hargiz ḳhuld meñ aadam se yuuñ laġhzish nahīñ hotī
jo sach pūchho to ye sab nafs-e-ammāra kā sadqa hai
vagarna ahad ko ahmad kī phir ḳhvāhish nahīñ hotī
na milte nuur aapas meñ na hotā vasl ḳhalvat meñ
agar nūr-e-mohammad kī vahāñ bārish nahīñ hotī
ḳhudā kā shukr hai tauhīd ke haath aa ga.e nukte
vagarna yaad rakkho hashr meñ baḳhshish nahīñ hotī
uThā le qul hu-vallahu-ahad kā jaam hāthoñ meñ
nasha ye vo hai jis se 'umr-bhar laġhzish nahīñ hotī
chhupā rakkhā raaz allāhus-samad kā apne siine meñ
yahī vo raaz hai jis kī koī bandish nahīñ hotī
hameñ kufuvan-ahad kā raaz jab se mil gayā 'rizvāñ'
ḳhudā shāhid hai ab dil meñ koī ḳhvāhish nahīñ hotī
agarche nafs-e-ammara mein ye jumbish nahin hoti
to hargiz KHuld mein aadam se yun laghzish nahin hoti
jo sach puchho to ye sab nafs-e-ammara ka sadqa hai
wagarna ahad ko ahmad ki phir KHwahish nahin hoti
na milte nur aapas mein na hota wasl KHalwat mein
agar nur-e-mohammad ki wahan barish nahin hoti
KHuda ka shukr hai tauhid ke hath aa gae nukte
wagarna yaad rakkho hashr mein baKHshish nahin hoti
uTha le qul hu-wallahu-ahad ka jam hathon mein
nasha ye wo hai jis se 'umr-bhar laghzish nahin hoti
chhupa rakkha raaz allahus-samad ka apne sine mein
yahi wo raaz hai jis ki koi bandish nahin hoti
hamein kufuwan-ahad ka raaz jab se mil gaya 'rizwan'
KHuda shahid hai ab dil mein koi KHwahish nahin hoti
- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.