kiya karte hain ghar baiThe hi darshan un ke joban ka
kiya karte hain ghar baiThe hi darshan un ke joban ka
Agha Muhammad Daud
MORE BYAgha Muhammad Daud
kiyā karte haiñ ghar baiThe hī darshan un ke joban kā
milā hai ā.īna ham ko sikandar qalb-e-raushan kā
na maiñ kāfir na maiñ momin vo jaane aur maiñ jānūñ
sar-e-bāzār kah duuñ Dar nahīñ shaiḳh-o-barhaman kā
vahī dil meñ samāyā hai maiñ bhartā huuñ usī kā dam
na vo kāfir na momin dost hai mere laḌakpan kā
kahāñ se vo kahāñ aayā ajab kuchh rañg dikhlāyā
tamāsha dekhne aayā jahāñ meñ apne gulshan kā
surāġh us kā nahii. miltā kahāñ hai yaar harjā.ī
dhuāñ chhāyā huā hai har galī meñ āh-o-shevan kā
koī samjhe to kyā samjhe koī dekhe to kyā dekhe
ki ye siina mirā ganjīna hai us shoḳh-e-pur-fan kā
pas-e-dīvār jānāñ dafn karnā 'sahv' muztar ko
ki pahlū meñ dil-e-muztar hai kushā un kī chitvan kā
kiya karte hain ghar baiThe hi darshan un ke joban ka
mila hai aaina hum ko sikandar qalb-e-raushan ka
na main kafir na main momin wo jaane aur main jaanun
sar-e-bazar kah dun Dar nahin shaiKH-o-barhaman ka
wahi dil mein samaya hai main bharta hun usi ka dam
na wo kafir na momin dost hai mere laDakpan ka
kahan se wo kahan aaya ajab kuchh rang dikhlaya
tamasha dekhne aaya jahan mein apne gulshan ka
suragh us ka nahi milta kahan hai yar harjai
dhuan chhaya hua hai har gali mein aah-o-shewan ka
koi samjhe to kya samjhe koi dekhe to kya dekhe
ki ye sina mera ganjina hai us shoKH-e-pur-fan ka
pas-e-diwar jaanan dafn karna 'sahw' muztar ko
ki pahlu mein dil-e-muztar hai kusha un ki chitwan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.