qiyamat sa guzarta hai mera har dam judai ka
qiyāmat sā guzartā hai merā har dam judā.ī kā
kis se karūñ jānāñ maiñ terī bevafā.ī kā
nahīñ chhoḌā abhī tak duḳht-e-raz ko ghar meñ rakhā hai
huā zāhid kā bhī shahrā jahāñ meñ pārsā.ī kā
raqīboñ ke sikhāne se nahīñ nuqsān kuchh hogā
azal se hai hamārā un kā rishta āshnā.ī kā
karoge kab tak ab parda ham se tum ye to batlāo
zamāna aa chukā jānāñ tumhārī rū-numā.ī kā
hai ye makkār kaisā sahv dekho guftugū us kī
jahāñ meñ garm hai bāzār us kī ḳhud-numā.ī kā
qiyamat sa guzarta hai mera har dam judai ka
kis se karun jaanan main teri bewafai ka
nahin chhoDa abhi tak duKHt-e-raz ko ghar mein rakha hai
hua zahid ka bhi shahra jahan mein parsai ka
raqibon ke sikhane se nahin nuqsan kuchh hoga
azal se hai hamara un ka rishta aashnai ka
karoge kab tak ab parda hum se tum ye to batlao
zamana aa chuka jaanan tumhaari ru-numai ka
hai ye makkar kaisa sahw dekho guftugu us ki
jahan mein garm hai bazar us ki KHud-numai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.