kamal-e-husn yahi hai ki be-hijab nahin
kamāl-e-husn yahī hai ki be-hijāb nahīñ
muqābla meñ tere kuchh bhī āftāb nahīñ
ye kaisī bhaTTī chaḌī āgare meñ hai yaaro
jahāñ meñ aisī to hargiz kahīñ sharāb nahīñ
janāb sāqī-e-ajmer kā huā irshād
piyo sharāb ḳhushī se ki kuchh hisāb nahīñ
sharāb ḳhuun hai 'āshiq kā shak nahīñ is meñ
maze meñ pūchho to dil sā 'ayāñ kabāb nahīñ
na de tū sahv havāla kitāb kā mujh ko
hamāre paas to dil ke sivā kitāb nahīñ
kamal-e-husn yahi hai ki be-hijab nahin
muqabla mein tere kuchh bhi aaftab nahin
ye kaisi bhaTTi chaDi aagare mein hai yaro
jahan mein aisi to hargiz kahin sharab nahin
janab saqi-e-ajmer ka hua irshad
piyo sharab KHushi se ki kuchh hisab nahin
sharab KHun hai 'ashiq ka shak nahin is mein
maze mein puchho to dil sa 'ayan kabab nahin
na de tu sahw hawala kitab ka mujh ko
hamare pas to dil ke siwa kitab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.