tera aabaad mai-KHana jo aage tha wo ab bhi hai
tera aabaad mai-KHana jo aage tha wo ab bhi hai
Agha Muhammad Daud
MORE BYAgha Muhammad Daud
terā ābād mai-ḳhāna jo aage thā vo ab bhī hai
jahāñ meñ daur-e-paimāna jo aage thā vo ab bhī hai
nahīñ mānūs hotā hai qiyāmat tak diyā barpā
dil-e-vahshī ye begāna jo aage thā vo ab bhī hai
guzāre 'umr ham saare ke jis kī justujū meñ thā
milā muddat meñ dīvāna jo aage thā vo ab bhī hai
rasā.ī sahv kyuuñ kar ho merī sūrat gadā.ī kī
mizāj-e-yār shāhāna jo aage thā vo ab bhī hai
tera aabaad mai-KHana jo aage tha wo ab bhi hai
jahan mein daur-e-paimana jo aage tha wo ab bhi hai
nahin manus hota hai qiyamat tak diya barpa
dil-e-wahshi ye begana jo aage tha wo ab bhi hai
guzare 'umr hum sare ke jis ki justuju mein tha
mila muddat mein diwana jo aage tha wo ab bhi hai
rasai sahw kyun kar ho meri surat gadai ki
mizaj-e-yar shahana jo aage tha wo ab bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.