ahl-e-fana ko nam se hasti ke nang hai
ahl-e-fanā ko naam se hastī ke nañg hai
lauh-e-mazār bhī mirī chhātī pe sañg hai
fāriġh ho baiTh fikr se donoñ jahān kī
ḳhatra jo hai so ā.īna-e-dil pe zañg hai
hairat-zada nahīñ hai faqat tū hī ā.īne
yaañ Tuk bhī jis kī aañkh khulī hai so dañg hai
is hastī-e-ḳharāb se kyā kaam thā hameñ
ai nashshā-e-zuhūr ye terī tarañg hai
gul-gīr muñh pasār na tū sham.a kī taraf
us kī zabān hī use kām-e-nahañg hai
a.alam se iḳhtiyār kī har chand sulh-e-kul
par apne saath mujh ko shab-o-roz jañg hai
maiñ kyā kahūñ tujhe nazar aayā nahīñ hai kyā
is gulshan-e-jahān kā jo kuchh ki Dhañg hai
ġhuncha shagufta hove hī hove ki us meñ 'dard'
dekhā chaman meñ jā ke to kuchh aur rañg hai
ahl-e-fana ko nam se hasti ke nang hai
lauh-e-mazar bhi meri chhati pe sang hai
farigh ho baiTh fikr se donon jahan ki
KHatra jo hai so aaina-e-dil pe zang hai
hairat-zada nahin hai faqat tu hi aaine
yan Tuk bhi jis ki aankh khuli hai so dang hai
is hasti-e-KHarab se kya kaam tha hamein
ai nashsha-e-zuhur ye teri tarang hai
gul-gir munh pasar na tu shama ki taraf
us ki zaban hi use kaam-e-nahang hai
aalam se iKHtiyar ki har chand sulh-e-kul
par apne sath mujh ko shab-o-roz jang hai
main kya kahun tujhe nazar aaya nahin hai kya
is gulshan-e-jahan ka jo kuchh ki Dhang hai
ghuncha shagufta howe hi howe ki us mein 'dard'
dekha chaman mein ja ke to kuchh aur rang hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.