jab charKH pe tare mujhe karte hain ishaare
jab charḳh pe taare mujhe karte haiñ ishāre
jaag uThte haiñ ḳhākistar-e-māzī meñ sharāre
āñkhoñ se idhar ashk Tapakte haiñ hamāre
gardūñ pe udhar TūTte jaate haiñ sitāre
thī un kī nigāhoñ meñ bahut duur kī manzil
manzil pe pahuñchte hī jo manzil se sudhāre
tāḳhīr ke asrār mujhe to nahīñ ma.alūm
kyuuñ kaañp rahe haiñ tere hoñToñ ke kināre
yuuñ dil se 'nadīm' uThtī hai āvāz shaboñ ko
jaise koī bhaTkā huā manzil ko pukāre
jab charKH pe tare mujhe karte hain ishaare
jag uThte hain KHakistar-e-mazi mein sharare
aankhon se idhar ashk Tapakte hain hamare
gardun pe udhar TuTte jate hain sitare
thi un ki nigahon mein bahut dur ki manzil
manzil pe pahunchte hi jo manzil se sudhaare
taKHir ke asrar mujhe to nahin malum
kyun kanp rahe hain tere honTon ke kinare
yun dil se 'nadim' uThti hai aawaz shabon ko
jaise koi bhaTka hua manzil ko pukare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.